गुडलक के 13 पक्के तरीके | 13 STEPS TO BLOODY GOOD LUCK IN HINDI BOOK PDF DOWNLOAD

हेलो दोस्तों आज की पोस्ट में हम आपको “गुडलक के 13 पक्के तरीके” बुक PDF फॉर्मेट में प्रोवाइड करेंगे पीडीएफ डाउनलोड लिंक (Download link) आर्टिकल के अंत में दी गई है बुक को आप ऑनलाइन भी पढ़ सकते हैं “13 STEPS TO BLOODY GOOD LUCK IN HINDI” PDF बुक डाउनलोड करने में किसी प्रकार की समस्या आ रही हो तो हमें कमेंट बॉक्स में या E-mail पर सूचित करें

PDF Nameगुडलक के 13 पक्के तरीके / 13 STEPS TO BLOODY GOOD LUCK IN HINDI
File Type:PDF
Genresप्रेरक / Motivational, non-fictionSelf Help
Total Pages:114
Authorअश्विन सांघी / Ashwin Sanghi
Languageहिंदी
PDF Size:4.64 MB

गुडलक के 13 पक्के तरीके | 13 STEPS TO BLOODY GOOD LUCK IN HINDI BOOK PDF DOWNLOAD

गुडलक के 13 पक्के तरीके PDF Download Link

Drop a note if the­ link isn’t functioning properly. Your feedback is much appre­ciated. Visit our site for additi


गुडलक के 13 पक्के तरीके 13 Steps to Bloody Good Luck Book Review in Hindi

Duniya ke sabse bade fauji kootnitiagya, Napoleon Bonapart ke jeevan ki ek ghatna ka udaharan lete hain: Meeting ke doraan, Napoleon Bonapart ke adhinsath ne unhe ek naye general ke baare mein bataya, jo behad hi saksham tha. Naye aadmi ki bahaduri, dakshata, dridhta aur prabandhan kshamataon ka unke samne bakhan kiya ja raha tha. Napoleon ne adhirata se apna haath hilate hue kaha, ‘Yeh to sab sahi hai, lekin mujhe batao kya vah khushkismat hai?’ Aaj ke samay mein Napoleon ka sawaal kuch ajeeb lag sakta hai, lekin usne kismat ko niji burai ke roop mein dekha, bhale hi aur sare tathy uske paksh mein ja rahe the. Ek khushkismat insaan kaamyab zaroor hoga, bhale hi haalaat uske paksh mein na hon. Doosri taraf, ek saksham aur yogya general bhi yudh ke maidan mein buri tarah maat kha sakta hai – basarte vah khushkismat nahin ho. Hum jaante hain ki kisi ko behtar sanchalak, prabandhak, samajik ya nipun banne ke liye prashikshan dena sambhav hai. Bahut si visheshtayen aur aadaten, jo hamare vyaktitva ka hissa nahin rahi hon, unhe bhi jarurat padne par viksit kiya ja sakta hai. Kya isi tarah kismat ka bhi vikas kiya ja sakta hai? Kya koi khud ko khushkismati ka prashikshan de sakta hai? To apne architect dost se hui kaun si baat ne mujhe is par naye nazariye se sochne ko majboor kiya? Chaliye main aapko wo baat bata deta hoon.

Barish! Barsaat!
Mere dost ne bataya ki vah Mumbai mein ‘green’ building ke nirmaan ka nirikshan kar raha tha. Is building ki khaas baat thi iska rainwater harvesting system.
‘Mumbai ko rojana ausatan 4,200 million liter paani ki avashyakta hoti hai. Iske liye nagar nigam mahaj 3,400 million liter paani ki aapurti karva pata hai. To pratidin Mumbaikaron ko 800 million liter paani ki tangi jhelni padti hai,’ usne samjhaya.
‘Tum kehna kya chahte ho?’ maine apni pasandida malt mein se ghoot bharte hue poocha. (Main neat hi pee raha tha, kyunke apne dost ki paani ki tangi ki chinta ko aur nahin badhana chahta tha.)
‘Dekha jaye to, Mumbai mein har saal lagbhag 2,200 millimeter tak barish hoti hai. Agar hum iska 70 pratishat jal bhi sanrakshit kar paayein, to paani ki tangi ko poora tarah khatm kiya ja sakta hai,’ usne bataya.
‘Isse aapka kya matlab hai?’ aap pooch sakte hain. Main goodluck wali kitaab mein Mumbai ke paani ki tangi baat kar kyun raha hoon?
Jab mere dost ne bataya, to mere dimaag mein bhi yahi khayal aya.
Barish ka paani muft aur prakritik sansadhan hai, jo poori Mumbai ko uplabdh hai. Badkismati se, kuch hi gharon mein rainwater harvesting system laga hai. Ye hi gharon us muft ke paani ko ikattha kar, uski suvidha le sakte hain; lekin jin gharon mein yeh nahin hai, ve aisa nahin kar sakte.
Ab socho: agar zindagi ke mauke bhi barsaat ke paani ki tarah, aur hum insaan gharon ki tarah hue to? Aur hamein se kuch to use ‘catch’ kar sakte hain, lekin kuch ke paas is mauke ko pakadne ke paryaapt sansadhan nahin hain?
Kya aisa nahin ho sakta ki mere pita ke dost ne jis ‘ek pratishat bloody goodluck’ ki baat ki thi, vah upasthit mauke ko 99 pratishat catch karne ki hi baat ho?
Yahi to vah idea hai, sarji!
Badkismati se, gyan ke is pal ko gambheerta se grahan kar paane se main kuch kadam door rah gaya, aur iske liye mujhe agli subah ka intezaar karna pada, jab hangover utarne par main is baare mein sochne mein safal hua.

Optimized by Optimole